poem
Woh Sardi ki narm dhup woh chai main dubey biscuit woh choti- choti khushiyaan jo saara din aati- jaati rahi woh jhule jo mere aasmaan to chuthe the vish-amrit aur gallery ka pagalpan paranthe aur tamatar ke sauce ka lunch aur baingan raja ki kahaniyaan aaj naye shahar ki bheed main akelepan ke sannate main aankhen dhundti hai woh ek chehra jise dekhkar lagta tha khushi hai. yehi zindagi hai. manzar chale gayen raahen badal gayin mausam kahin ghum hue bas yaadein reh gayin yaadon ki shawl lapete armaanon ki galiyon main ghum rahi hun apna badalta astitva dekh hairaan ho rahi hun khawaabon main bhi na dekha jo aaj wahan aa gayi hun zindagi ne ek aur mod liya hai main baahen failay khadi hun.