poem

Woh Sardi ki narm dhup
woh chai main dubey biscuit
woh choti- choti khushiyaan
jo saara din aati- jaati rahi

woh jhule jo mere aasmaan to chuthe the
vish-amrit aur gallery ka pagalpan
paranthe aur tamatar ke sauce ka lunch
aur baingan raja ki kahaniyaan

aaj naye shahar ki bheed main
akelepan ke sannate main
aankhen dhundti hai woh ek chehra
jise dekhkar lagta tha
khushi hai. yehi zindagi hai.

manzar chale gayen
raahen badal gayin
mausam kahin ghum hue
bas yaadein reh gayin

yaadon ki shawl lapete
armaanon ki galiyon main ghum rahi hun
apna badalta astitva dekh
hairaan ho rahi hun

khawaabon main bhi na dekha jo
aaj wahan aa gayi hun
zindagi ne ek aur mod liya hai
main baahen failay khadi hun.

Comments

RĂ©mi said…
I can't read Hindi :(

Popular posts from this blog

The Morning Saga

Scotland-Edinburgh

If only